Mummy ki yaad bas aati hai
Uski aawaz bas rulati hai
Chahta hoon k door jau
Apni amma ko bhool jau
Par phir se yaad wo aati hai
Mummy ki yaad bas aati hai
Meri amma pyari si hai
Saari ammao jaisi nyari si hai
So jau to amma ko pau
Jor se amma ko aawaz lagau
Mujhse door wo haari si hai
Meri amma pyari si hai
Amma koi khaas nahi
Par uske jaisa koi bhi ehsaas nahi
Kose mujhko ya pyar kare
Suni zindgi mein sab rang bhare
Jane kaise y baat kahi
K amma koi khaas nahi
Jab dar lagta tab amma aati
Pyar se apne pass sulati
Jab dara dil so sa jata
Har dar jab amma mein kho sa jata
Tab amma phir sapno mein aati
Mere sapno mein wo bhi kho jati
Mera Pet bhara ho ya ho khali
Amma paros deti ek thali
Dheere dheere muskurati rahti
Jaane zamane bhar ki baatein kahti
Mere har nakhre ko sahti
Jo bhi zid ho uff na karti
Har bigdi baat amma ne sambhali
Amma ka Pet bhara ho ya khali
Na wo din aaye kabhi k jab amma na ho
Jo amma na ho to amma ka sapna to ho
Bachha hamesha sapne mein rahega
Jane ye baatein wo kis se kahega
Bachha Bas adhura rah jayega…..
Zab mauka mila to amma k pass hi jayega
No comments:
Post a Comment