mai khush hoon aabad hoon
aaj aisa lagta hai mai ek poora hota khwab hoon
hawa mein ek masti si chayi hai
jane kya chiz hai jo botal mei aayi hai
na pag hai na paimana
bas sidhe uthakar mooh mein lagana
har sapna ab apna hai
ab kahi koi fikar kaha hai
lao ek doosri dedo ye khatm ho gayi
raat na jane kab se itni roshan ho gayi
jalta hai mera gala aur mera jigar
par mano dost ye hai sabse khoobsurat dagar
are kadam jo ladkhada bhi gaye to tum tham lena
gar ho sake to kabhi daga mat dena
jaam ka bhi apna paigham hai
har boond pe pine wale ka naam hai
khud khali ho mujhe bhar jaati hai
bhigi aankho k saath muskuraht de jaati hai
hai ye dhua hai ya mere dil ka gubar hai
har kash k sath nasha apar hai
lao ek aur de do, meri khatm ho gayi
abe aur mangwalo, kami kya hai, dukan band ho gayi!
No comments:
Post a Comment