Sunday, October 4, 2009

let it be over

har pal ki apni ek paribhasha hai

waqt ke dariya mein kabhi aasha to kabhi nirashaa hai

koi kyun kuch kahe,
chup chap apne sach ko sahe

sathi tumhare sath se sath tha
meri tabahi mein mera hi hath tha

kisi ne kuch khoya nahi,phir mai lut gaya
apne hi ghar k tamashe mein tamashbin banke rah gaya

aaj bhi yaado ki parchaiya mil jati hai
akelepan mein mujhe rote chod jati hai

kisse poocho kisko bolu,kiske dar pe raaz ye kholu

sapna mera salona tha,par shayad use khona tha

mai na kuch kar saka,chah k bhi tujhe na badal saka

jaha bhi mere sath ki khushbu hawa mein lahrayegi,is soone dil ko tumhari yaad aayegi

kya chaha us vidata ne mai na samajh paunga
mar k hi sahi kabhi ho saka to tujhe paunga


shayad pane ka koi matlab nahi
uninde is dil mein koi ghaflat nahi

jis rah tum chale ho us manzil ko pao
kabhi ho sake to mujhe meri galti batao

ya phir rahne do is dil ko u hi tadapta
kisi ki yaad mein aaj bhi ye nadan jane kyun hai dhadakta

ek din sath badal jayenge saanse toot jayengi
par us din bhi kuch bate ankahi adhuri ansuni rah jayengi


kabhi kisi bhooli bisri baat mein
ya tumhare hridai k jazbaat mein jo tum mujhe dhoond sako
rakh lena us baat ko apne dil mein agar tum rakh sako

halka hi sahi dard to kam hoga
aakhir koi to lamha jo jia tha humne jo sachha hoga

sach kya tha aur jhooth kya hai
jane is marz ki dawa kya hai

kab tak ye ghutan mujhe tadpayegi
na jane zindgi mujhe ab kis mode par layegi

uljhi hai mere haath ki rekhae
mujhse hai poochti ab kaha jai

bhawar mein phasa akela mai dhoondta hoon sahara apna
kabhi shanti milegi mujhe yahi bas hai ab sapna apna









2 comments:

  1. dost aapki sunke to bas wahi yaad aata hai "Waqt rehta nahi kahin tik kar ..iski aadat bhi aadmi si hai"

    ReplyDelete
  2. u seem to be very immature but still ur poems have that PAIN...... waiting for a humourous one...

    ReplyDelete